Abul Hasanat Haqqi

numu to pahle bhi tha iztirab maine diya

Abul Hasanat Haqqi

numū to pahle bhī thā iztirāb maiñ ne diyā
phir us ke zulm-o-sitam kā javāb maiñ ne diyā
vo ek Dūbtī āvāz-e-bāz-gasht ki aa
savāl maiñ ne kiyā thā javāb maiñ ne diyā
vo aa rahā thā magar maiñ nikal gayā kahīñ aur
so zaḳhm-e-hijr se baḌh kar azaab maiñ ne diyā
agarche hoñToñ pe paanī kī buuñd bhī nahīñ thī
sulagte lamhoñ ko ek sail-e-āb maiñ ne diyā
khulā hai pahlu-e-pur-josh be-muhābā aa
ik aur mashvara-e-inqilāb maiñ ne diyā
ye mujh se girya-e-bebāk kyuuñ nahīñ hotā
to apne dard ko ḳhud pech-o-tāb maiñ ne diyā
naḳhīl-o-kisht ko sairāb maiñ nahīñ kartā
zamīñ ko qarz magar be-hisāb maiñ ne diyā
badan ḳhud apnī hī tajsīm kar nahīñ paate
qarīb aayā to āñkhoñ ko ḳhvāb maiñ ne diyā
Top Urdushayar.com