kahīñ girebāñ koī chaak hone vaalā hai
ye hādsa sar-e-aflāk hone vaalā hai
pahuñch rahā huuñ kisī bhed ke bahut nazdīk
ki jaise apnā hī idrāk hone vaalā hai
utarne vaalī hai ab os din ke jaane par
añdherā shaam kā namnāk hone vaalā hai
hai sard itnā makāñ ab kī baar jaaḌe meñ
badan bhī aag kā ḳhāshāk hone vaalā hai
kuchh aa rahā hai asar mai kā us kī bātoñ meñ
ye lag rahā hai vo be-bāk hone vaalā hai
ba-ġhaur dekh rahā huuñ maiñ us kā tarz-e-amal
vo kār-e-ishq meñ chālāk hone vaalā hai
maiñ aap apnī ḳharābī kā huuñ sabab 'shāhīñ'
jo ḳhud banāyā thā ab ḳhaak hone vaalā hai