jaane in āñkhoñ ne us dasht meñ dekhā kyā kyā
mere siine meñ koī shor uThā thā kyā kyā
aaj tak parda-e-ta.abīr se bāhar na milā
aur hotā hai shab-o-roz tamāshā kyā kyā
shabnam-āsār bhalā chain se baiThā kab huuñ
ḳhud ko phailātā rahā aañkh meñ sahrā kyā kyā
haañ vahī rañg jo tartīb na paayā mujh meñ
apnī āñkhoñ meñ vo kartā rahā gahrā kyā kyā
ḳhuub hote hī rahe sab ḳhush-o-nā-ḳhush mujh meñ
mujh se sharminda rahā zaḳhm-o-mudāvā kyā kyā
haath pairoñ meñ kisī shauq kī halchal thī bahut
dekhtā hī rahā maiñ jānib-e-sahrā kyā kyā
us kī be-mehrī kā shikva nahīñ hogā mujh se
maiñ bhī rakhtā thā kabhī dil meñ irāda kyā kyā
duur rahtā hai magar jumbish-e-lab bos-o-kanār
Dūbtā rahtā hai dariyā meñ kinārā kyā kyā