paidā huā ye habāb kaisā
dariyā meñ hai pech-o-tāb kaisā
ab fasl-e-junūñ kahāñ hai baaqī
phir dekh rahā huuñ ḳhvāb kaisā
thā dast-e-hunar meñ mom sā jo
pathrā gayā vo shabāb kaisā
sim-sim kī sadā pe khul rahā thā
thā halqa-e-dar-e-sarāb kaisā
ek ek varaq paḌhā huā sā
hai nusḳha-e-intiḳhāb kaisā
partav se tire vajūd merā
āġhosh meñ le hijāb kaisā
kyā jaane hamārī talḳh-kāmī
hai zā.iqa-e-sharāb kaisā
ḳhushbueñ tavāf kar rahī thiiñ
thā pichhle pahar ḳhitāb kaisā
qatra qatra chamak rahā hai
raushan huā zer-e-āb kaisā
maiñ apne ḳhilāf ho gayā huuñ
nāzil huā ye azaab kaisā
muddat se hai band qufl-e-abjad
ai muhtasibo hisāb kaisā
sab mauj-e-havā meñ rañg us ke
ai momino ijtināb kaisā
dīvār kā bojh baam par hai
ye ghar bhī huā ḳharāb kaisā