buland-o-past kā har-dam ḳhayāl rakhnā hai
hamesha haath meñ kār-e-muhāl rakhnā hai
vo mujh se tālib-e-bai.at huā hai aur mujhe
junūñ ke haath pe dast-e-savāl rakhnā hai
koī to aa ke ginegā jarāhateñ dil kī
harā-bharā hameñ tāq-e-malāl rakhnā hai
mire charāġh kī lau se musābqat kaisī
mujhe usī pe urūj-o-zavāl rakhnā hai
kahīñ to ḳhatm huā hogā raat kā afsūñ
vahīñ pe uqda-e-sub.h-e-visāl rakhnā hai
shikast-e-be-hunarī kī sanad nahīñ miltī
giraft meñ abhī kilk-e-kamāl rakhnā hai
vo mehrbān nahīñ hai to phir ḳhafā hogā
koī to rābta us ko bahāl rakhnā hai
bajā.e us ke ki ham be-hisoñ meñ gin liye jaa.eñ
suḳhan ke saath hī husn-e-majāl rakhnā hai
nazar na aa.e qalam-rau meñ koī harf-e-junūñ
tamām zer-o-zabar pā.emāl rakhnā hai