merī aahoñ se jilā chāhtā hai
āsmāñ radd-e-balā chāhtā hai
mujh ko to marzī-e-maulā aulā
aur dil sab kā bhalā chāhtā hai
burrish-e-teġh na mailī ho jaa.e
bā-safā huuñ vo gilā chāhtā hai
aa.ina ho gayā ā.īna-sarisht
ya.anī vo mujh meñ Dhalā chāhtā hai
mauj-dar-mauj gulistāñ saarā
mere dāman pe khulā chāhtā hai
boriye ko kahā sāmān-e-nashāt
dekhte rahnā jilā chāhtā hai
mujh ko darvesh samajhne vaalā
ḳhush-gumānī kā silā chāhtā hai
zānū-e-shauq se lag baiThā hai
ā.īna apnī jilā chāhtā hai
nahīñ pur-shauq koī is ke liye
'hasanāt' ab to ḳhalā chāhtā hai