Abul Hasanat Haqqi

dil ko hum dariya kahen manzar-nigari aur kya

Abul Hasanat Haqqi

dil ko ham dariyā kaheñ manzar-nigārī aur kyā
pursish-e-ahvāl-e-āqā kam-ayārī aur kyā
apne manzar se alag hotā nahīñ hai koī rañg
apnī āñkhoñ ke sivā bād-e-bahārī aur kyā
ham bhī kuchh kahte pa us kī guftugū kā silsila
ḳhatm hotā hī nahīñ hai hoshiyārī aur kyā
sab uThā kar le ga.iiñ merī junūñ-sāmāniyāñ
ab satā.egī hameñ be-aḳhtyārī aur kyā
merī vahshat bhī sukūñ nā-āshnā merī tarah
mere qadmoñ se bañdhī se zimmedārī aur kyā
us ziyāñ-ḳhāne meñ miltī hī nahīñ dād-e-firāq
zabt kā paiġhām degī sogvārī aur kyā
jī meñ aa jaa.e to ham bhī muskurā kar dekh leñ
aañkh phir pahroñ na kholeñ shahryārī aur kyā
'haqqī' bechāra āḳhir thak-thakā kar so gayā
apne zaḳhmoñ kī vo kartā parda-dārī aur kyā
Top Urdushayar.com