ye jo tanhā.ī milī aañkh meñ dharne ke liye
is meñ ik dasht bhī hai mere guzarne ke liye
jam.a kartī hai mujhe raat bahut mushkil se
sub.h ko ghar se nikalte hī bikharne ke liye
paañv se lipTī milī saarī kī saarī ye zamīñ
ye falak puurā milā aañkh meñ dharne ke liye
aur phir karnā paḌā gosht ko nāḳhun se judā
ye zarūrī thā kisī zaḳhm ko bharne ke liye
thī vo ik tez havā ūñchā mujhe le aa.ī
ab zamīñ tañg sī lagtī hai utarne ke liye
baat kaisī bhī ho pal bhar kī nadāmat ke sivā
ḳharch aatā hai bhalā kitnā mukarne ke liye
aur phir aisā huā sāmne mere 'shāhīn'
jhuuT ke paañv nikal aa.e Thaharne ke liye