judā thī baam se dīvār dar akelā thā
makīñ the ḳhud meñ magan aur ghar akelā thā
thī aarzū ki rahūñ jabr se mahāz-ārā
maiñ Dar gayā ki ye lambā safar akelā thā
nigāh-e-ġhair jise mo'tabar bahut Thahrī
use maiñ kaise dikhātā nagar akelā thā
kahāñ talak maiñ shujā.at kī daad detā yahāñ
ki us kī saarī sipah maiñ idhar akelā thā
bahut maze meñ rahe sar-nigūñ ḳhajil paude
havā-e-tez kī zad meñ shajar akelā thā
abas sharīk thā be-vaqt razm meñ 'shāhīñ'
dayār-e-ġhair meñ vo be-ḳhabar akelā thā