dhartī par jab ḳhuuñ bahtā hai bādal rone lagtā hai
dekh ke shahroñ kī vīrānī jañgal rone lagtā hai
laakh kare vo zabt kā da.avā vaqt-e-ruḳhsat sab be-kār
āñkheñ chāheñ ro.eñ na ro.eñ kājal rone lagtā hai
beTī kī zid ke aage maañ chup ho jaatī hai lekin
nañge sar kī mahrūmī par āñchal rone lagtā hai
ḳhushbū ḳhushbū lipTe rahnā sāñpoñ kī majbūrī hai
varna apnī be-qadrī par sandal rone lagtā hai
tujh se bichhaḌ kar ġhair ke aage ro.e hoñ to ham mujrim
dil kā kyā hai dil pāgal hai pāgal rone lagtā hai