vahāñ kaise koī diyā jale jahāñ duur tak ye havā na ho
unheñ hāl-e-dil na sunā.iye jinheñ dard-e-dil kā pata na ho
hoñ ajab tarah kī shikāyateñ hoñ ajab tarah kī ināyateñ
tujhe mujh se shikve hazār hoñ mujhe tujh se koī gila na ho
koī aisā sher bhī de ḳhudā jo tirī atā ho tirī atā
kabhī jaisā maiñ ne kahā na ho kabhī jaisā maiñ ne sunā na ho
na diye kā hai na havā kā hai yahāñ jo bhī kuchh hai ḳhudā kā hai
yahāñ aisā koī diyā nahīñ jo jalā ho aur vo bujhā na ho
maiñ marīz-e-ishq huuñ chāragar tū hai dard-e-ishq se be-ḳhabar
ye taḌap hī us kā ilaaj hai ye taḌap na ho to shifā na ho