manzil pe na pahuñche use rasta nahīñ kahte
do chaar qadam chalne ko chalnā nahīñ kahte
ik ham haiñ ki ġhairoñ ko bhī kah dete haiñ apnā
ik tum ho ki apnoñ ko bhī apnā nahīñ kahte
kam-himmatī ḳhatra hai samundar ke safar meñ
tūfān ko ham dosto ḳhatra nahīñ kahte
ban jaa.e agar baat to sab kahte haiñ kyā kyā
aur baat bigaḌ jaa.e to kyā kyā nahīñ kahte