sach bolne ke taur-tarīqe nahīñ rahe
patthar bahut haiñ shahr meñ shīshe nahīñ rahe
vaise to ham vahī haiñ jo pahle the dosto
hālāt jaise pahle the vaise nahīñ rahe
ḳhud mar gayā thā jin ko bachāne meñ pahle baap
ab ke fasād meñ vahī bachche nahīñ rahe
dariyā utar gayā hai magar bah ga.e haiñ pul
us paar aane jaane ke raste nahīñ rahe
sar ab bhī kaT rahe haiñ namāzoñ meñ dosto
afsos to ye hai ki vo sajde nahīñ rahe