vo bevafā hai use bevafā kahūñ kaise
burā zarūr hai lekin burā kahūñ kaise
jo kashtiyoñ ko Dubotā hai lā ke sāhil par
tumhī batāo use nāḳhudā kahūñ kaise
ye aur baat bure ko burā nahīñ kahtā
burā burā hai bure ko bhalā kahūñ kaise
vo merī sāñsoñ meñ dil meñ nazar meñ ġhazloñ meñ
maiñ apne-āp se is ko judā kahūñ kaise
jo tujh se kahnā hai duniyā se vo chhupānā hai
agar ġhazal na kahūñ to batā kahūñ kaise
havā kī shah pe jalātā hai ghar ġharīboñ ke
'navāz' aise diye ko diyā kahūñ kaise