mausamoñ kā javāb de diije
aaj thoḌī sharāb de diije
aap kā husn hai bahār mirī
in laboñ ke gulāb de diije
kis liye hai naqāb meñ chehra
paḌhne vaalī kitāb de diije
sar se pā tak ḳhumār kā aalam
ye chhalaktī sharāb de diije
zulf kī shaam sub.h chehre kī
yahī mausam janāb de diije
ek din aur zindagī jī leñ
raat bhar ko shabāb de diije