hairān huuñ do āñkhoñ se kyā dekh rahā huuñ
TuuTe hue har dil meñ ḳhudā dekh rahā huuñ
nazroñ meñ tirī rañg nayā dekh rahā huuñ
hāthoñ meñ bhī kuchh rañg-e-hinā dekh rahā huuñ
ruḳh un kā kahīñ aur nazar aur taraf hai
kis samt se aatī hai qazā dekh rahā huuñ
phir laa.ī hai barsāt tirī yaad kā mausam
gulshan meñ nayā phuul khilā dekh rahā huuñ
tū aa.e na aa.e magar aatī hai tirī yaad
yādoñ meñ tujhe ābla-pā dekh rahā huuñ
ye kaisī siyāsat hai mire mulk pe haavī
insān ko insāñ se judā dekh rahā huuñ
kāġhaz pe hue mere vatan ke ka.ī TukḌe
punjab kī bāñhoñ ko kaTā dekh rahā huuñ
taḳhlīq na sambhalī to bane log muhaqqiq
ġhālib kā huā haal ye kyā dekh rahā huuñ
kal tak jo diye mahfil-e-yārāñ meñ the raushan
aaj un ko sitāroñ meñ chhupā dekh rahā huuñ