hamāre ḳhvāb hamārī pasand hote ga.e
ham apne ā.īna-ḳhānoñ meñ band hote ga.e
ye kyā huā ki ba-īñ-jism us se milte rahe
magar firāq ke sadme do-chand hote ga.e
har ek fat.h pe maġhrūr ho rahā thā vo
har ik shikast pe ham ḳhud-pasand hote ga.e
ham aise bikhre ki apne hī kaam na aa sake
kisī ke haq meñ magar sūd-mand hote ga.e
kisī kī bālā-qadī ke shikoh kī zid meñ
ham apne qad se ziyāda buland hote ga.e