Akhtar Orenvi

maqam-e-dil bahut uncha bana hai

Akhtar Orenvi

Munger, Bihar, India

1911-1977
maqām-e-dil bahut ūñchā banā hai
kamand-e-aql ab tak nā-rasā hai
faroġh-e-ishq se betāb jalve
harīm-e-nāz meñ mahshar bapā hai
mizāj-e-husn meñ ye dard-mandī
ba-faiz-e-ishq kyā se kyā huā hai
ḳhirad hai justujū-e-soz-e-ātish
mohabbat ārzū-e-barmalā hai
navāzish un kī muhtāj-e-mohabbat
mirī kam-mā.egī kā aasrā hai
chaman kī nik.hat-afshānī kā baa.is
ye mauj-e-gul hai yā mauj-e-sabā hai
bhalā kyuuñ ho tujhe merī zarūrat
ki tū saare zamāne kā ḳhudā hai
Top Urdushayar.com