nashtar se aarzū ke dil-e-zindagī figār
ḳhud zindagī vajūd ke siine meñ nok-e-ḳhār
ai husn-e-yār terī tajallī ko kyā huā
ye be-qarār dil mirā ab tak hai be-qarār
jalvoñ ne tere hasrat-e-nazzāra ko mirī
dekhā kiyā hai nāz-e-taġhāful se baar baar
dil par nigāh-e-shauq mizāj-e-jamāl par
hālāt-o-vārdāt pe kis ko hai iḳhtiyār
mujh par huī navāzish-e-pinhāñ kabhī kabhī
mahrūm sā.atoñ kī tamannā hai sogvār
allāh tere husn-e-farozāñ kī pardagī
ik lau sī thartharā.ī pas-e-chashm-e-ashk-bār
kī rahbarī ḳhayāl-e-lab-e-yār tak mirī
ai tishnagī-e-shauq mirī zindagī nisār