Akhtar Orenvi

daru-e-hosh-ruba nargis-e-bimar to ho

Akhtar Orenvi

Munger, Bihar, India

1911-1977
dārū-e-hosh-rubā nargis-e-bīmār to ho
ab ināñ-gīr-ḳhirad gesū-e-ḳhamdār to ho
husn kā nāz-e-tajallī hai niyāz-āmāda
ishq-e-ādāb-e-tamannā ke sazā-vār to ho
jur.at-e-shauq se pindār-e-karam jhuk ke mile
hausla-mand koī aisā gunahgār to ho
lāla-kārī se rag-e-jāñ ke gulistāñ lahke
har-nafas ek lachaktī huī talvār to ho
dil se vo jalva-gah-e-nāz to kuchh duur nahīñ
sīna-e-shauq meñ ik jazba-e-bedār to ho
nām-e-mahbūb pe be-tāb nazāre hoñge
sajda-e-gāh-e-dil-o-jāñ kūcha-e-dildār to ho
un hasīñ āñkhoñ meñ mai-ḳhāna kī shām-e-rañgīñ
jagmagā.egī magar 'aḳhtar'-e-sarshār to ho
Top Urdushayar.com