ab to jis roz se rūThī hai mohabbat us kī
baḌh ga.ī aur bhī pahle se zarūrat us kī
lauh-e-har-zaḳhm pe tahrīr hai us kā mazmūn
naqsh hai har varaq-e-dil pe ibārat us kī
jism to merā thā dil us kā thā jaañ us kī thī
merī jāgīr thī chaltī thī hukūmat us kī
shor-e-fariyād sunā.eñ to sunā.eñ kis ko
hashr us kā hai ḳhudā us kā qayāmat us kī
dekh kar 'āzmī' us ko to baḌā ranj huā
vaqt ne kaisī badal Daalī hai sūrat us kī