Shees Mohammad Ismail Azmi

raqabaton ki tarah se humne mohabbaten be-misal ki hain

Shees Mohammad Ismail Azmi

raqābatoñ kī tarah se ham ne mohabbateñ be-misāl kī haiñ
magar ḳhamosh ab jo ho ga.e haiñ ināyateñ maah o saal kī haiñ
kahāñ se duniyā ko aa ga.e haiñ ye taur us ke tarīq us ke
muzāhira sab gurez kā hai alāmateñ sab visāl kī haiñ
nazar uThāo to har taraf hai bahisht-e-husn-o-jamāl lekin
kahāñ vo andāz us kā lahja shabāhateñ ḳhadd-o-ḳhāl kī haiñ
nigār-e-fan hai ki māñgtī hai lahū se har-dam ḳhirāj apnā
hamārā kyā saath de sakeñgī jo shohrateñ be-kamāl kī haiñ
ye jhuktī shāḳheñ sarakte saa.e mahaktī ḳhushbū bahakte bādal
uTho inheñ jāvedāñ to kar leñ ki sā.ateñ ye visāl kī haiñ
ye ḳhud-kalāmī ye be-niyāzī ye shahr vāloñ se duur rahnā
amānateñ 'āzmī' yaqīnan kisī ġham-e-lā-zavāl kī haiñ
Top Urdushayar.com