Saba Jayasi

kahan pe bichhDe the hum log kuchh pata mil jae

Saba Jayasi

kahāñ pe bichhḌe the ham log kuchh pata mil jaa.e
tumhārī tarah agar koī dūsrā mil jaa.e
hazāroñ naqsh nihāñ hoñge us ke siine meñ
kabhī kabhī to ye ā.īna boltā mil jaa.e
jilau meñ le ke chaleñ saare nā-tamām se ḳhvāb
na jaane kis jagah umr-e-gurez-pā mil jaa.e
na jaane kyā kare imroz kā ye sannāTā
hamāre maazī kā ik lamha chīḳhtā mil jaa.e
shikast-o-reḳht kī duniyā meñ huuñ to ḳhvāhish hai
ḳhayāl bikhrā huā jism TūTtā mil jaa.e
maiñ nazr kar duuñ use ye lahūluhān badan
fareb-ḳhurda aqīdat kā qāfila mil jaa.e
agarche hadd-e-nazar tak dhuāñ dhuāñ hai fazā
isī dayār meñ mumkin hai phir 'sabā' mil jaa.e
Top Urdushayar.com