ham ne ḳhāk-e-dar-e-mahbūb jo chehre pe malī
qissa-e-dard chhiḌā baat se phir baat chalī
kis tarah samjhūñ mirā ishq hai sargarm-e-safar
raah bedār huī hai na kahīñ sham.a jalī
dil ko bahlā.eñ ki qadmoñ ko sambhāleñ ham log
jab na.e moḌ pe pahuñche haiñ to ye shaam Dhalī
ye mire naqsh-e-qadam vaqt se miT sakte haiñ
apne siine se lagā.e hai jinheñ terī galī
ham ne har tār-e-garebāñ ko banāyā dāman
terī yādoñ ko liye bād-e-bahārī jo chalī
mujh ko is barq se bas itnā hī shikva hai 'sabā'
āshiyāñ jal gayā kyuuñ shāḳh-e-nasheman na jalī