bū-e-ḳhush kī tarah har samt bikhar jā.ūñgā
āhanī hāthoñ se ab koī dabā de mujh ko
maiñ to muddat se chalā aatā huuñ pīchhe pīchhe
gardish-e-vaqt kabhī ruk ke sadā de mujh ko
din to saarā hī kaTā misl-e-charāġh-e-kushta
garmī-e-jism sar-e-shām jalā de mujh ko
tum mujhe dekh ke jo baat kabhī kah na sake
kyā ye mumkin nahīñ ā.īna batā de mujh ko
jin ko paane se haqīqat bhī fasāna ban jaa.e
ab 'sabā' aise sarāboñ kā patā de mujh ko