aur kis tarah use koī qabā dī jaa.e
ek tasvīr hī patthar pe banā dī jaa.e
taaki phir koī na parchhā.īñ ke pīchhe dauḌe
apnī bastī meñ chalo aag lagā dī jaa.e
ḳhuub hai ye mirī maḳhsūs tabī.at kā ilaaj
har tamannā mirī kāñToñ pe sulā dī jaa.e
apnī hī zaat pe hotā hai jo saa.e kā gumāñ
tīrgī shab kī kisī taur baḌhā dī jaa.e
ham kisī tarah to imroz kī talḳhī samjheñ
ahd-e-rafta kī har ik baat bhulā dī jaa.e
aao dekheñ na koī apnā shanāsā nikle
ajnabī chehroñ se ye gard haTā dī jaa.e
dekhne se jise āñkhoñ meñ añdherā chhāyā
kis ko is ḳhvāb kī ta.abīr batā dī jaa.e
jab muqaddar hai shab-o-roz kī be-kaifī 'sabā'
ḳhvāb kī tarah har ik yaad bhulā dī jaa.e