intihā-e-ishq ho yuuñ ishq meñ kāmil bano
ḳhaak ho kar bhī nishān-e-sarhad-e-manzil bano
mere shikvoñ par ye kahnā rahm ke qābil bano
mudda.ā ye hai ki apne haal se ġhāfil bano
ġharq ho kar rol lo motī ḳhud apne vāste
Duub kar ubhro to auroñ ke liye sāhil bano
anjuman kaisī tum apnī zaat se ho anjuman
gosha-e-ḳhalvat meñ bhī baiTho to ik mahfil bano
husn-e-ḳhud-bīñ mo.ajizāt-e-ishq kā qaa.il nahīñ
qatra-hā-e-ashk-e-ḳhūnīñ jam.a ho kar dil bano
saath āzādī ke ḳhud-dārī bhī rahnā chāhiye
bahr-e-be-pāyāñ kabhī lab ḳhushkī-e-sāhil bano
ilm kā daura lahū ke saath rag rag meñ rahe
jauhar-e-qābil agar ho quvvat-e-āmil bano
sharm se tum ko simaTnā hai to simTo husn se
dil meñ ban jaao suvaidā putliyoñ meñ til bano
rabt-e-bātin kyā suno tafsīl us ijmāl kī
ham sarāpā dard hoñ aur tum sarāpā dil bano
jalne vaalo tā-ba-imkāñ zabt soz-e-ġham karo
aag jab bhaḌke charāġh-e-sarhad-e-manzil bano
kuchh dinoñ baiTho sar-e-qabr-e-'azīz'-e-be-navā
ḳhānqāhoñ meñ bahut dushvār hai kāmil bano