na huī ham se shab basar na huī
kis se pūchheñ ki kyuuñ sahar na huī
vo nazar-shoḳh-o-fitna-zā hī sahī
kyuuñ mire hāl-e-zār par na huī
bazm meñ ye adā hameñ samjhe
sab ko dekhā udhar nazar na huī
ai mirā haal pūchhne vaale
tujh ko ab tak mirī ḳhabar na huī
ham isī zindagī pe marte haiñ
jo yahāñ chain se basar na huī
kaise kaise sitam hue tujh par
kyuuñ mire dil tujhe ḳhabar na huī
ruuh aalam meñ phūñk dī to kyā
merī jānib to ik nazar na huī
uf mire ġham-kade kī tārīkī
aap aa.e bhī to sahar na huī
dil ne duniyā na.ī banā Daalī
aur hameñ aaj tak ḳhabar na huī
mujh se ruḳhsat huī thī jab duniyā
tum kahāñ the tumheñ ḳhabar na huī
hijr kī raat kāTne vaale
kyā karegā agar sahar na huī
ḳhush raheñ vo ye mudda.ā thā 'azīz'
na huī zindagī basar na huī