is vahm kī intihā nahīñ hai
sab kuchh hai magar ḳhudā nahīñ hai
kyā is kā surāġh koī paa.e
jis chiiz kī ibtidā nahīñ hai
khultā hī nahīñ fareb-e-hastī
kuchh bhī nahīñ aur kyā nahīñ hai
is tarah sitam vo kar rahe haiñ
jaise merā ḳhudā nahīñ hai
tum ḳhush ho to hai mujhe nadāmat
har-chand mirī ḳhatā nahīñ hai
dekho to nigāh-e-vāpsīñ ko
is ek nazar meñ kyā nahīñ hai
duniyā kā bharam na khol ai aah
ye raaz abhī khulā nahīñ hai
har zarra hai shāhid-e-tajallī
is husn kī intihā nahīñ hai
sargarm-e-talāsh rahne vaale
terā bhī kahīñ patā nahīñ hai
umDā hai jo dil 'azīz' ro lo
aañsū koī roktā nahīñ hai