dil kushta-e-nazar hai mahrūm-e-guftugū huuñ
samjho mire ishāre maiñ surma-dar-gulū huuñ
muddat se kho gayā huuñ sargarm-e-justujū huuñ
apnā hī mudda.ā huuñ apnī hī aarzū huuñ
sūrat-e-savāl huuñ maiñ pūchho na merā matlab
maiñ apne mudda.ā kī tasvīr hū-ba-hū huuñ
hai dil meñ josh-e-hasrat rukte nahīñ haiñ aañsū
ristī huī surāhī TuuTā huā subū huuñ
zaḳhmoñ se dil kā aalam kyā pūchhte ho kyā hai
gulzār-e-be-ḳhizāñ huuñ duniyā-e-rañg-o-bū huuñ
jalve hijāb-afgan āñkheñ halāk-hasrat
to mahv-e-parda-dārī meñ vaqf-e-justujū huuñ
pāmāl yuuñ huā huuñ pinhāñ hai mujh meñ aalam
ek musht-e-ḳhāk ho kar sahrā-e-ārzū huuñ
ruḳh se kafan haTā do kyā pūchhte haiñ pūchheñ
parde meñ ḳhāmushī ke sargarm-e-guftugū huuñ
kis se 'azīz' rakkhūñ ummīd dostī kī
sarkash hai nafs jab tak apnā hī maiñ adū huuñ