bekār ye ġhussa hai kyuuñ us kī taraf dekho
ā.īne kī hastī kyā tum apnī taraf dekho
mahdūd hai nazzāra jab haiñ yahī do-ālam
yā apnī taraf dekho yā merī taraf dekho
milne se nigāhoñ ke kyā fā.eda hotā hai
ye baat maiñ samjhā duuñ tum merī taraf dekho
muñh pher liyā sab ne bīmār ko jab dekhā
dekhā nahīñ jaatā vo tum jis kī taraf dekho
manzūr 'azīz' us kā irfān jo hai tum ko
dekho na kisī jānib apnī hī taraf dekho