tirī koshish ham ai dil sa.i-e-lā-hāsil samajhte haiñ
sar-e-manzil tujhe begāna-e-manzil samajhte haiñ
usūl-e-zindagī jāñ-dāda-e-qātil samajhte haiñ
na sar ko sar samajhte haiñ na dil ko dil samajhte haiñ
ġharīq-e-bahr-e-ulfat āshnā-e-qulzum-e-ma.anī
jahāñ par Duub kar ubhreñ use sāhil samajhte haiñ
dayār-e-ishq ke sākin zamīñ par paañv kyā rakkheñ
yahāñ ke zarre zarre ko jab apnā dil samajhte haiñ
kareñ kyā un se shikva jo kisī ke dil jalāne ko
faroġh-e-garmī-e-hañgāma-e-mahfil samajhte haiñ
jhukānā āstāñ par sar koī mushkil nahīñ lekin
jabīn-e-bandagī ko ham kab is qābil samajhte haiñ
shikasta-dil liye ye soch kar is bazm se niklā
shikāyat kījiye un se jo dil ko dil samajhte haiñ
ye dil hāzir hai bismillāh vo kholeñ girah is kī
agar āsān hall-e-uqda-e-mushkil samajhte haiñ
lab-e-fariyād agar kholūñ to kyā hañgāma barpā ho
ḳhamoshī ko mirī jab guftugū-e-dil samajhte haiñ
vo ḳhalvat ho ki jalvat ho tajallī ho ki tārīkī
jahāñ tum ho usī ko ham bharī mahfil samajhte haiñ
irāda ho to dil mazbūt kar ai Dūbne vaale
jab aisā vaqt ho dhāre ko bhī sāhil samajhte haiñ
dam-e-āḳhir rukā hai ek aañsū dīda-e-tar meñ
isī ko hasti-e-nākām kā hāsil samajhte haiñ
vafā kī had dikhā kar jalne vaale dil ḳhudā-hāfiz
tujhe bhī ik charāġh-e-Kushta-e-manzil samajhte haiñ
miTā Daalā mujhe phir bhī ye hai bedād kī hasrat
abhī fehrist-e-maujūdāt meñ shāmil samajhte haiñ
mirā tarz-e-sulūk is raah ke rah-rau na samjheñge
magar jo rāhbar rāh-e-haq-o-bātil samajhte haiñ
nisār-e-dost hai ye motiyoñ kā be-bahā maalā
har ik aañsū ko ham TuuTā huā ik dil samajhte haiñ
jinheñ ma.alūm hai terī nigāh-e-nāz kā aalam
vo apne zabt ke da.avoñ ko ḳhud bātil samajhte haiñ
'azīz' afkār-e-duniyā aur mashāġhil sher-goī ke
ahibbā kī mohabbat hai jo is qābil samajhte haiñ