Aziz Lakhnavi

jite hain kaise aisi misalon ko dekhiye

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
jiite haiñ kaise aisī misāloñ ko dekhiye
parda uThā ke chāhne vāloñ ko dekhiye
kyā dil jigar hai chāhne vāloñ ko dekhiye
mere sukūt apne savāloñ ko dekhiye
ab bhī haiñ aise log ki jin se sabaq mile
dil murda hai to zinda misāloñ ko dekhiye
kyā dekhte haiñ aap bahār-e-numū abhī
jab eḌiyoñ tak aa.eñ to bāloñ ko dekhiye
tabqe zamīñ ke hoñ ki hoñ aurāq-e-āsmāñ
qudrat ke dil-fareb risāloñ ko dekhiye
himmat ko dekhiye ki vahī mard-e-kār hai
faujoñ ko dekhiye na risāloñ ko dekhiye
taqlīd kyuuñ ḳhayāl o zabāñ meñ kisī kī ho
apne ḳhayāl apne maqāloñ ko dekhiye
dushman pe bhī nigāh rahe aib-bīñ hai vo
ye kyā ki sirf chāhne vāloñ ko dekhiye
saaqī kī chashm-e-mast kā nazzāra kījiye
sahbā ko dekhiye na piyāloñ ko dekhiye
dil dekhiye ki takmila-e-shauq ho 'azīz'
masjid ko dekhiye na shivāloñ ko dekhiye
Top Urdushayar.com