kyuuñ na ho shauq tire dar pe jabīñ-sā.ī kā
us meñ jauhar hai mirī ā.īna-sīmā.ī kā
tuur kushta hai usī nāz-e-ḳhud-ārā.ī kā
barq kī lahr hai naqsha tirī añgḌā.ī kā
ishq ik tabsira hai husn kī ra.anā.ī par
husn ik falsafa hai ishq kī rusvā.ī kā
aaj ik ḳhaak kā zarra bhī nahīñ baaqī hai
dil-e-barbād ye hāsil hai ḳhud-ārā.ī kā
yād-e-ayyām ki thī lab pe mire mohar-e-sukūt
ab to mātam hai bapā dil meñ shakebā.ī kā
mauj-dar-mauj ravāñ bāda-e-sar-josh-e-shabāb
ālam-e-kaif hai aalam tirī añgḌā.ī kā
hasrat-o-yās kā amboh magar maiñ bekas
aise majme.a meñ ye aalam mirī tanhā.ī kā
tīrgī shām-e-lahad kī hai bhayānak lekin
hai ye utrā huā jaama shab-e-tanhā.ī kā
jazr-o-mad husn ke dariyā meñ nazar aatā hai
qābil-e-dīd hai aalam tirī añgḌā.ī kā
tere dīdār se mahrūm rahīñ jab āñkheñ
koī masraf hī nahīñ phir mirī bīnā.ī kā
ālam-e-gor-e-ġharībāñ kā ye ġhamnāk sukūt
ik namūna hai mire dil kī shakebā.ī kā
niiñd un kī agar uḌ jaa.e to kuchh duur nahīñ
so gayā jāgne vaalā shab-e-tanhā.ī kā
sher dilkash ho agar saf.ha-e-kāġhaz pe 'azīz'
ik muraqqa.a hai kamāl-e-suḳhan-ārā.ī kā