ġhalat hai dil pe qabza kyā karegī be-ḳhudī merī
ye jins-e-mushtarak hai jo kabhī un kī kabhī merī
hijāb uThte chale jaate haiñ aur maiñ baḌhtā jaatā huuñ
kahāñ tak mujh ko le jaatī hai dekhūñ be-ḳhudī merī
tavahhum thā mujhe naqsh-e-duī kis tarah miTtā hai
naqāb-e-ruḳh ulaT kar is ne sūrat khīñch dī merī
idhar bhī uḌ ke aa ḳhākistar-e-dil muntazir maiñ huuñ
lagā luuñ tujh ko āñkhoñ se tū hī hai zindagī merī
'azīz' ik din mujhe ye rāzdārī ḳhatm kar degī
kisī ne baat idhar kī aur rañgat uḌ ga.ī merī