Aziz Lakhnavi

ek hi KHat mein hai kya haal jo mazkur nahin

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
ek hī ḳhat meñ hai kyā haal jo mazkūr nahīñ
dil to dil ishq meñ saada varaq-e-tūr nahīñ
ek ham haiñ ki kisī baat kā maqdūr nahīñ
ek vo haiñ ki kisī rañg meñ majbūr nahīñ
imtihāñ-gāh-e-mohabbat nahīñ gul-e-zār-e-ḳhalīl
kaun aisā hai jo zaḳhmoñ se yahāñ chuur nahīñ
naza.a kā vaqt hai baiThā hai sirhāne koī
vaqt ab vo hai ki marnā hameñ manzūr nahīñ
qābil-e-ġhaur hai ai jalva-paristān-e-azal
ye kahānī hai mirī vāqia-e-tūr nahīñ
misr kā chāñd ho āġhosh meñ zindāñ ke tulūa
fitrat-e-husn badal jaa.e to kuchh duur nahīñ
sar jhukā.e dar-e-daulat se palaTne vaale
be-niyāzī kī adā.eñ haiñ vo maġhrūr nahīñ
jubba-sā.ī bhī gavārā nahīñ kartā koī
uTh ke jaanā dar-e-daulat se bhī dastūr nahīñ
ishq meñ sarhad-e-manzil se kuchh aage hoñge
us kā ronā hai koī sa.ī bhī mashkūr nahīñ
dil meñ paivast huī thī jo mire roz-e-azal
hai vahī shoḳh-nazar sā.iqa-e-tūr nahīñ
dil ko bhī dī ga.ī hai ḳhidmat-e-dard-e-abadī
sirf āñkheñ hī mirī rone pe ma.amūr nahīñ
sar-e-mizhgāñ mire aañsū kā sitāra chamkā
daar par ab asar-e-jazba-e-mansūr nahīñ
saad surḳhī se kiyā kis ne sar-e-fard-e-jamāl
apne aalam meñ tire dīda-e-maḳhmūr nahīñ
zindagī ḳhatm huī jab to ik āvāz sunī
aa gayā maiñ tire nazdīk bas ab duur nahīñ
ruuh kahtī huī niklī hai dam-e-naz.a 'azīz'
un se is bazm meñ milnā hameñ manzūr nahīñ
Top Urdushayar.com