chāragar chup haiñ kyuuñ ilaaj kareñ
kuchh to apne kiye kī laaj kar
un se kis ne kahā thā vo mujh ko
fard-e-hastī meñ indirāj kareñ
roz khaTkā sā dil meñ rahtā hai
dekhiye kyā vo hukm aaj kareñ
fursat-e-zīst kam hī kaam bahut
kal jo karnā hai ham ko aaj kareñ
chāragar bhī na kyā kareñge yaad
kar sakeñ jis qadar ilaaj kareñ
sab usī kī sī kah rahe haiñ 'azīz'
kis se ham arz-e-ehtiyāj kareñ