partav-e-husn kahīñ anjuman-afroz to ho
dil-e-pur-dāġh mirā māya-e-sad-soz to ho
kam se kam koī to sāmāñ tire aane kā karūñ
atlas-e-charḳh to ho bistar-e-gul-doz to ho
rañg-e-pairā-e-chaman-josh meñ kaliyāñ chaTkeñ
khol de band-e-naqāb aaj ki nau-roz to ho
dil meñ paivast na ho jo vo nazar hī kyā hai
tiir tarkash meñ agar ho to jigar-doz to ho
na sahī sohbat-e-firdaus jahannam hī sahī
mahfil-e-aish na ho anjuman-e-soz to ho
kyā natīja hai 'azīz' aisī jabīñ-sā.ī se
but kā sajda ho magar nāsiya-afroz to ho