Aziz Lakhnavi

duniya ko walwala dil-e-nashad se hua

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
duniyā ko valvala dil-e-nāshād se huā
ye tuul us ḳhilāsa-e-ījād se huā
fasl-e-junūñ meñ sīna-o-nāḳhun ko mere dekh
kyā be-sutūñ pe tesha-farhād se huā
rahmat ne baḌh ke sard jahannam ko kar diyā
kaisā qusūr ye dil-e-nāshād se huā
ḳhush huuñ maiñ vaqt-e-naz.a ḳhushā lazzat-e-farāġh
jo kuchh huā vo aap ke irshād se huā
ye hai haqīqat-e-adam-o-ālam-e-vajūd
vo ḳhāmushī se ye mirī fariyād se huā
nā-vāqif-e-rusūm mohabbat hai koī chiiz
insāñ 'azīz' sheva-e-faryād se huā
Top Urdushayar.com