mere rone pe ye hañsī kaisī
ai sitamgar ye dil-lagī kaisī
khul ga.ī phir koī rag-e-dil kyā
dīda-e-ḳhushk haiñ namī kaisī
hosh hai tujh ko ḳhaak ke putle
ye tamarrud ye sar-kashī kaisī
thā ye ik imtihāñ tabī.at kā
varna nāseh se dostī kaisī
ro rahā huuñ isī tasavvur meñ
dī thī ye mujh ko zindagī kaisī
ab to is dar tak aa ga.e ho 'azīz'
sambhlo sambhlo ye be-ḳhudī kaisī