Aziz Lakhnavi

kar chuke barbaad dil ko fikr kya anjam ki

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
kar chuke barbād dil ko fikr kyā anjām kī
ab hameñ de do ye miTTī hai hamāre kaam kī
Duub de de bāda-e-gul-rañg meñ zāhid agar
dekhiye rañgīniyāñ phir jāma-e-ehrām kī
aks-e-abrū dekhte haiñ bāda-e-sar-josh meñ
iid hai sāqī-parastoñ meñ hilāl-e-jām kī
ibtidā-e-ishq hai aur bujh rahā hai dil mirā
ho chalī dhīmī abhī se lau charāġh-e-shām kī
aañkh meñ aañsū haiñ māthe par araq hai maut kā
le ḳhabar umr-e-ravāñ apne chhalakte jaam kī
ho ga.ī bāzīcha-e-atfāl be-zauq-o-shu.ūr
shā.irī jo thī murādif ma.anī-e-ilhām kī
puḳhtagī samjhe hue haiñ jo tanāsub ko faqat
chāhiye islāh un ko is ḳhayāl-e-ḳhām kī
hai ye nāzuk fan jo shāyān-e-tahī-maġhzī nahīñ
daur-e-majlis meñ zarūrat kyā hai ḳhālī jaam kī
hai 'azīz' ā.īna-e-lafzī murā.ātun-nazīr
husn-e-ma.anī jab nahīñ phir shā.irī kis kaam kī
Top Urdushayar.com