ye mashvara baham uTThe haiñ chāra-jū karte
ki ab marīz ko achchhā thā qibla-rū karte
zabān ruk ga.ī āḳhir sahar ke hote hii!
tamām raat kaTī dil se guftugū karte
savād-e-shahr-e-ḳhamoshāñ kā dekhiye manzar!
sunā na ho jo ḳhamoshī ko guftugū karte
tamām ruuh kī lazzat isī pe thī mauqūf
ki zindagī meñ kabhī tum se guftugū karte
javāb hazrat-e-nāseh ko ham bhī kuchh dete
jo guftugū ke tarīqe se guftugū karte
pahuñch ke hashr ke maidāñ meñ haul kyuuñ hai 'azīz'
abhī to pahlī hī manzil hai justujū karte