Aziz Lakhnavi

saf baatin der se hain muntazir

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
saaf bātin der se haiñ muntazir
sāqiyā ḳhuz mā-safā dā mā-kadar
phir hayāt-e-chand-roza kā ma.aal
maut par jab zindagī hai munhasir
rut badalte hī fazā meñ guuñj uThā
naġhma-e-yā-ayyohas-sāqī adir
aise vaadī meñ nahīñ kyā rahnumā
ḳhud jahāñ gum-karda manzil huuñ ḳhizar
mashvara rahmat se kar ai adl-e-haq
kyā sazā jo ho ḳhatā kā ḳhud muqir
kyuuñ hai asrār-e-do-ālam kī talāsh
parda-e-dil meñ haiñ tere musattir
kyuuñ mirī dīvāngī badnām hai
un kī āñkheñ ḳhud huiiñ jab mushtahar
al-hazar pīr-e-falak kī sar-kashī
dekhne meñ tū hai utnā munkasir
kho chukā āñkheñ magar ai barq-e-husn
dil rahegā aur rahegā muntazir
sun le faryād-e-'azīz' jāñ-ba-lab
rabb-e-innī mustaġhīso fal-faqra
Top Urdushayar.com