vo nigāheñ kyā kahūñ kyuuñ kar rag-e-jāñ ho ga.iiñ
dil meñ nashtar ban ke Dūbīñ aur pinhāñ ho ga.iiñ
thiiñ jo kal tak jalva-afrozī se sham-e-anjuman
aaj vo shakleñ charāġh-e-zer-e-dāmāñ ho ga.iiñ
ik nazar ghabrā ke kī apnī taraf us shoḳh ne
hastiyāñ jab miT ke ajzā-e-pareshāñ ho ga.iiñ
dam rukā thā jis kī uljhan se mire siine meñ aah
phir vahī zulfeñ mire ġham meñ pareshāñ ho ga.iiñ
phūñk dī ik ruuh dekhā zor-e-ejāz-e-junūñ
jitnī sāñseñ maiñ ne liiñ tār-e-garebāñ ho ga.iiñ
ishq ke qisse ko ham saada samajhte the magar
jab varaq ulTe to āñkheñ saḳht hairāñ ho ga.iiñ
chand tasvīreñ mirī jo muḳhtalif vaqtoñ kī thiiñ
ba.ad mere zīnat-e-dīvār-e-zindāñ ho ga.iiñ
uḌ ke dil kī ḳhaak ke zarre ga.e jis jis taraf
rafta rafta vo zamīneñ sab bayābāñ ho ga.iiñ
aa.ine meñ aks hai aur aks meñ jazb-e-ḳhalish
dil meñ jo fāñseñ chubhīñ tasvīr-e-mizgāñ ho ga.iiñ
us kī shām-e-ġham pe sadqe ho mirī sub.h-e-hayāt
jis ke mātam meñ tirī zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ
shām-e-va.ada aa.iye to aap us kī fikr kyā
phir banā dūñgā agar zulfeñ pareshāñ ho ga.iiñ
kis dil-āvāra kī mayyat ghar se niklī hai 'azīz'
shahr kī ābād rāheñ aaj vīrāñ ho ga.iiñ