Aziz Lakhnavi

dil hamara hai ki hum mail-e-fariyaad nahin

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
dil hamārā hai ki ham mā.il-e-fariyād nahīñ
varna kyā zulm nahīñ kaun sī bedād nahīñ
husn ik shān-e-ilāhī hai magar ai be-mehr
bevafā.ī to koī husn-e-ḳhudā-dād nahīñ
sar-e-turbat vo ḳhamoshī pe mirī kahte haiñ
marne vaale tujhe paimān-e-vafā yaad nahīñ
husn-e-ārāsta qudrat kā atiyya hai magar
kyā mirā ishq-e-jigar-soz ḳhudā-dād nahīñ
laakh pāband-e-alā.eq na rahe koī yahāñ
tab-e-vārasta magar fikr se āzād nahīñ
bāham ā.īn-e-vafā rasm-e-mohabbat kaisī
vaqt ab vo hai ki bandoñ ko ḳhudā yaad nahīñ
chashm-e-maḳhmūr vo hai kābil-e-ġharq-e-mai-e-nāb
daftar-e-ishq pe jab tak ki mire saad nahīñ
pūchhte kyā ho tabāhī kā fasāna mujh se
dil-e-barbād kī sūrat bhī mujhe yaad nahīñ
zarre zarre meñ hai ik ālam-e-ma.anī pinhāñ
ḳhāk-e-barbād ko samjhe ho ki ābād nahīñ
aap kahte haiñ ki hai gor-e-ġharībāñ vīrāñ
aisī bastī to jahāñ meñ koī ābād nahīñ
āñsuoñ ko bhī zarā dekh le rone vaale
in sitāroñ meñ to duniyā koī ābād nahīñ
husn-e-ḳhud maiñ ne kiye aa.ine ke sau TukḌe
ab na kahnā ki nigāheñ sitam-ījād nahīñ
kab ḳhayālāt pe mumkin hai kisī kā pahra
dil to āzād rahā maiñ agar āzād nahīñ
sīna-kāvī ke liye shart hai dil kī himmat
nāḳhun-e-dast-e-junūñ tesha-e-farhād nahīñ
be-ḳhudī manzil-e-irfāñ hai zarā hosh meñ aa
hai ḳhudī kā ye natīja ki ḳhudā yaad nahīñ
tabqa-e-ḳhāk meñ hai ālam-e-ḳhāosh-ābād
jis ko barbād samajhte ho vo barbād nahīñ
dil-e-vīrāñ kī tabāhī kī koī had hai 'azīz'
maiñ samajhtā huuñ ki duniyā abhī ābād nahīñ
Top Urdushayar.com