mire nāseh mujhe samjhā rahe haiñ
farīza hai adā farmā rahe haiñ
dhuāñ uThtā hai ik ik mū-e-tan se
sazā apne kiye kī pā hai haiñ
tilism-e-hasti-e-fānī dikhā kar
abhī kuchh der vo bhulā rahe haiñ
jahāñ se kal hameñ aanā paḌā thā
vahīñ majbūr ho kar jā rahe haiñ
dikhā deñge 'azīz' anjām-e-duniyā
abhī to ḳhair dhokā khā rahe haiñ