Aziz Lakhnavi

chashm-e-saqi ka tasawwur bazm mein kaam aa gaya

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
chashm-e-sāqī kā tasavvur bazm meñ kaam aa gayā
bhar ga.ī shīshoñ meñ mai gardish meñ ḳhud jaam aa gayā
muztarib dil ik tajallī meñ faqat kaam aa gayā
ibtidā hī meñ ḳhayāl-e-ibrat-anjām aa gayā
husn ḳhud-ārā na yuuñ hotā hijāb-andar-hijāb
shān-e-tamkīñ ko ḳhayāl-e-manzar-e-ām aa gayā
husn ne itnā taġhāful merī hastī se kiyā
rafta rafta zindagī kā mujh pe ilzām aa gayā
intizār ab shaaq hai ai sāqī-e-paimāñ-shikan
ghir ga.e bādal surāhī aa ga.ī jaam aa gayā
ham to samjhe the sukūñ pā.eñge be-hoshī ke ba.ad
hosh jab aayā to phir lab par tirā naam aa gayā
ḳhaak āḳhir ho gayā sab sāz-o-sāman-e-hayāt
kyuuñ dil-e-barbād-e-hasrat ab to ārām aa gayā
ho ga.ī āsūdgī jhagḌā chukā rāhat milī
nā-tavāñ thā dil nabard-e-ishq meñ kaam aa gayā
dil ne kī piirī meñ paidā ġhaflat-e-ahd-e-shabāb
sub.h kā bhūlā jo manzil par sar-e-shām aa gayā
parda-e-duniyā meñ ab be-sūd haiñ ye koshisheñ
ai farem-e-āb-o-dāna maiñ tah-e-dām aa gayā
riñd mustaġhnī haiñ duniyā se ġharaz ham ko 'azīz'
daulat-e-jam mil ga.ī jab haath meñ jaam aa gayā
Top Urdushayar.com