dil aayā is tarah āḳhir fareb-e-sāz-o-sāmāñ meñ
ulajh kar jaise rah jaa.e koī ḳhvāb-e-pareshāñ meñ
ye maanā zarre zarre par tumhārī mohr azal se hai
magar kyā merī gunjā.ish nahīñ shahr-e-ḳhamoshāñ meñ
pata us kī nigāh-e-vahshat-afzā kā lagānā hai
nigāheñ vahshiyoñ kī dekhtā phirtā huuñ zindāñ meñ
yahī hai ruuh kā jauhar tum aaoge to niklegā
dam-e-āḳhir rukā hai ek aañsū chashm giryāñ meñ
mirī jam.īyat-e-ḳhātir kā sāmāñ hashr kyā kartā
qayāmat ho ga.ī tartīb-e-ajzā-e-pareshāñ meñ
faroġh-e-lāla-o-ġhul kā tamāshā dekhne vaale
ye mere dil kī choTeñ haiñ jo ubhrī haiñ gulistāñ meñ
'azīz' ārā.ish-e-gulshan kī koī intihā bhī hai
vo mahv-e-sair-e-gul haiñ yā gulistāñ hai gulistāñ meñ