jalva dikhlā.e jo vo apnī ḳhud-ārā.ī kā
nuur jal jaa.e abhī chashm-e-tamāshā.ī kā
rañg har phuul meñ hai husn-e-ḳhud-ārā.ī kā
chaman-e-dahr hai mahzar tirī yaktā.ī kā
apne markaz kī taraf mā.il-e-parvāz thā husn
bhūltā hī nahīñ aalam tirī añgḌā.ī kā
uf tire husn-e-jahāñ-soz kī pur-zor kashish
nuur sab kheñch liyā chashm-e-tamāshā.ī kā
dekh kar nazm-e-do-ālam hameñ kahnā hī paḌā
ye salīqa hai kase anjuman-ārā.ī kā
kal jo gulzār meñ haiñ gosh-bar-āvāz 'azīz'
mujh se bulbul ne liyā tarz ye shevā.ī kā