Aziz Lakhnavi

ai dil ye hai KHilaf-e-rasm-e-wafa-parasti

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
ai dil ye hai ḳhilāf-e-rasm-e-vafā-parastī
tauba butoñ ke aage zikr-e-ḳhudā-parastī
ik ḳhanjar-e-qazā hai ik nashtar-e-jafā hai
vo chashm-e-shoḳh jo hai mahv-e-hayā-parastī
dikhlā.ūñgā tamāshā is aa.ine meñ tum ko
sub.h-e-azal se dil hai mahv-e-safā-parastī
zālim kī hai ye koshish is ko kahīñ miTā duuñ
mazlūm dil ko mere fikr-e-baqā-parastī
kyuuñ sāz-o-barg-e-hastī kartā hai tū muhayyā
duniyā ko hai azal se zauq-e-fanā-parastī
laa.ī na mai-kade se vāpas 'azīz' tujh ko
ye hikmat-o-tasavvuf ye auliyā-parastī
Top Urdushayar.com